logo

Bayaaz

donate usNotificationA

nauha - nadeem sarwar - 2024

Haye Hussain Ibn Ali

Haye Hussain Ibn e Ali

Hussaina Hussaina Mazloom e Karbobla

Hussain Hussain Ya Hussain Ya Hussain Jan Hussain

Sada Rahe Gi Tumhari Ye Azadari
Haye Hussain Ibn e Ali
Dilon Main Gham Ho Labon Par Ho Sada Jari
Haye Hussain Ibn e Ali

Hussain Hussain Ya Hussain Ya Hussain Jan Hussain

Ham Rahe Ya Na Rahe Gham Ye Aabad Rahe
Har Qadam Karbobla Dam Ba Dam Yaad Rahe
Jab Talak Saans Chale Jab Talak Jan Rahe
Silsila Jari Rahe Sheh Ka Matam Na Ruke
Dilon Main Yaad Rahe Hamesha Tumhari
Haye Hussain Ibn e Ali
Sada Rahe Gi Tumhari Ye Azadari
Haye Hussain Ibn e Ali
Dilon Main Gham Ho Labon Par Ho Sada Jari
Haye Hussain Ibn e Ali

Hussaina Hussaina Mazloom e Karbobla
Hussain Hussain Ya Hussain Ya Hussain Jan Hussain

Wo Hussain Ibn e Ali Dilbar e Sale Ala
Jo Sar e Karbobla Be Khata Mara Gya
Apna Sab Deen Ke Liye Jisne Qurban Kiya
Pyasa Dunya Se Gya, Be Kafan Bhi Jo Raha
Sara Zamana Karta Rahega Ye Aahozari
Haye Hussain Ibn e Ali

Hussaina Hussaina Mazloom e Karbobla
Hussain Hussain Ya Hussain Ya Hussain Jan Hussain

Kehta Hai Sara Jahan Badshah Ast Hussain
Kehte Hain Peero Jawan Rehnuma Ast Hussain
Hai Yehi Wird e Zaban Deen Panah Ast Hussain
Keh Rahi Hai Ye Aazan Lailah Ast Hussain
Sitam Hai Ap Si Hasti Pe Sitam Gari
Haye Hussain Ibn e Ali
Sada Rahe Gi Tumhari Ye Azadari
Haye Hussain Ibn e Ali
Dilon Main Gham Ho Labon Par Ho Sada Jari
Haye Hussain Ibn e Ali

Hussaina Hussaina Mazloom e Karbobla
Hussain Hussain Ya Hussain Ya Hussain Jan Hussain

Jab Sakina Ne kaha Haye Pyase Hain Chacha
Pani La Ne Ke Liye Phir Alamdar Gya
Shor Darya Pe Huwa Bawafa Mara Gya
Haye Matam Tha Bapa Gunji Zainab ki Sada
Akela Reh Gya Aalam Main Mera Bhai
Haye Hussain Ibn e Ali

Hussaina Hussaina Mazloom e Karbobla
Hussain Hussain Ya Hussain Ya Hussain Jan Hussain

Uska Matam Hai Bapa Jis Ki Hai Karbobla
Kalma Quran Ke Liye Jis Ne Sab Waar Diya
Jis Ka Akbar Na Raha Jis Ka Asghar Na Raha
Jis Ka Ghazi Na Raha Jis Ka Lashkar Na Raha
Asr Ka Waqt Tha Or Tumhari Tanhai
Haye Hussain Ibn e Ali
Sada Rahe Gi Tumhari Ye Azadari
Haye Hussain Ibn e Ali
Dilon Main Gham Ho Labon Par Ho Sada Jari
Haye Hussain Ibn e Ali

Hussaina Hussaina Mazloom e Karbobla
Hussain Hussain Ya Hussain Ya Hussain Jan Hussain

Bad e Sheh Kya Na Huwa Puchho Zainab Se Zara
Jis Ne Bhai Ki Tarhan Har Sitam Dil Pe Saha
Kabhi Bazar e Jafa Kabhi Darbar e Jafa
Jis Ne Khutbon Se Sada Sheh ka Gham Zinda Rakha
Hai Aj Bhi Ye Zainab Ki Sada Jari
Haye Hussain Ibn e Ali

Sada Rahe Gi Tumhari Ye Azadari
Haye Hussain Ibn e Ali
Dilon Main Gham Ho Labon Par Ho Sada Jari
Haye Hussain Ibn e Ali

HomebookmarkmybayaazSetting